Written by Adithyaa
The following is a compilation of three short poems on the common grounds of Love… and its Three stages - The beautiful start it always has (Wo Bheki Raat), The stage of complications and stories to tell (Wo Adhura Ishq) and finally, letting someone go with some hope (Dusra Bandhan).
Wo Behki Raat
Wo husn ka Jo deedar hua
Un zulfo se Jo ikraar hua
Wo Jo behki raat thi ...
Uss din shayad humme pyaar hua
Tum to chup thi ...
Saanse kuch kehgayi
Tumhare thirakte hoth
Hamare hotho se kuch nawabi sa keh gayi ...
Wo Adhura Ishq
Wo Pyaar Mera Tha
Is baat se na mukarna...
Tumse door, Aye khuda
Mujhe kabhi na karna...
Tum mere Dil main nahi to Kya hua
Mere panno mein rahogi...
Wo adhura ishq un panno me...
Main apni syahi se jo bunungi...
Dusra bandhan
Ye haath chhod kar
Dusra haath Jo thamogi...
Meri yaado ko azaad kar
Kisi bandhan main band jaogi...
Mera jism bhool kar
Uski baahon mein simat jaogi...
Apni Zindagi ka panna palat kar
Mere khayalo main reh jaogi
Ab bhi waqt Hai...
Mudo to sahi...
Kuch nahi to bas...
Pyaar ka ikraar zaroor kar jaogi
Comments